Aanand
Chamak us seep ke moti ki
Jhalak us aabha-mandal ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar dae.
Damak us saurya-mandal ki
Dhamak us Jeevan Jeet ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na kar de.
Lalak us ras-bhandaar ki
Sanak us Jeet ko paane ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Mauj us Parmanand ki
Maya us kanchan se Mann ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Chandni heere ke pathar ki
Moondni us Needra sagar ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Chatta un, saaton rango ki
Sada us badli mein rehti
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Chaah us Aanand ko paane ki
Shool ko phool banaane ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Jaadoo us jaadonagari Ka
Kiran us taara mandal ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Saans uus Sukhmaye jeevan ki
Chanak us cham cham vela ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de
Dard us preet ko khone ka
Dava us rog ki Kya hovay
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Meri yeah kavita samarpit hai paramanand
Kii anubhuti ko...................................
Ishwar ke is roop ko shat shat naman.
Gagandeep kaur Nanda
16 October,2017
Chamak us seep ke moti ki
Jhalak us aabha-mandal ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar dae.
Damak us saurya-mandal ki
Dhamak us Jeevan Jeet ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na kar de.
Lalak us ras-bhandaar ki
Sanak us Jeet ko paane ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Mauj us Parmanand ki
Maya us kanchan se Mann ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Chandni heere ke pathar ki
Moondni us Needra sagar ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Chatta un, saaton rango ki
Sada us badli mein rehti
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Chaah us Aanand ko paane ki
Shool ko phool banaane ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Jaadoo us jaadonagari Ka
Kiran us taara mandal ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Saans uus Sukhmaye jeevan ki
Chanak us cham cham vela ki
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de
Dard us preet ko khone ka
Dava us rog ki Kya hovay
Palak jhapakne se pehle
Drishye ko ojhal na Kar de.
Meri yeah kavita samarpit hai paramanand
Kii anubhuti ko...................................
Ishwar ke is roop ko shat shat naman.
Gagandeep kaur Nanda
16 October,2017
Anand hi parmanand he ,anand me hi jinee ki aas he harpal jina hi jindgi he palak jhapakne se pehle hi jine ko kehte hein jindgi......
ReplyDeleteMy father my true critic
ReplyDeleteThanks papa
My father my true critic
ReplyDeleteThanks papa